Total Pageviews

Sunday, February 12, 2012

Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi


Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi, shikwa nahi, shikwa nahi

Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi, zindagi nahi, zindagi nahi

Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi 
         
Kaash aisa ho tere qadmo se, chun ke manzil chale aur kahi door kahi - 2
Tum gar saath ho, manzilo ki kami to nahi
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi 
         
Jee mein aata hai, tere daaman mein, sar jhuka ke ham rote rahe, rote rahe - 2
Teri bhi aankho mein, aansuo ki nami to nahi 

Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi,
shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi,
zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi 
         
Tum jo keh do to aaj ki raat, chaand doobega nahi, raat ko rok lo -2
Raat ki baat hai, aur zindagi baaki to nahi 

Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi,
shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi,
zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi

Album: Aandhi Singer: Kishore & Lata Music: R.D. Burman Lyricist: Gulzar
Download this songs in Mp3 Click here

Teri khushbu me base khat mein jalata kaise


teri khushbu me base khat mein jalata kaise?
pyar me dube hue khat mein jalata kaise ?
tere haton ke likhe khat mein jalata kaise?

jinko dunia ki nigahon se chupaye rakha
jinko ko ek umr kaleje se lagaye rakha
din jinko jinhe iman banye rakha
teri khushbu me base khat me jalata kaise?

jinka har lafz mujhe yad pani ki tarah
yad the mujhko jo pegame zubani ki tarah
mujhko pyare the jo anmol nishani ki tarah
teri khushbu me base khat me jalata kaise?

tune duniya ki nigaho se jo bachkar likhe
salha sal mere nam barabar likhe
kabhi din me toh kabhi rat ko uthkar likhe
teri khushbu me base khat me jalata kaise?
pyar me dube hue khat me jalata kaise ?
tere haton ke likhe khat me jalata kaise?

tere khat aj me ganga me baha aya hun
tere khat aj me ganga me baha aya hun
aag behte hue pani me laga aya hun.

Album: Teri khushbu  Singer: Jagjit Singh  Music: Jagjit Singh  Lyricst: Javed Akhtar
Download this songs in Mp3 Click here


dil ayesaa kisee ne meraa todaa


dil ayesaa kisee ne meraa todaa
barabaadee kee taraf ayesaa modaa

yek bhale maanush ko
amaanush banaa ke chhodaa

saagar kitanaa mere paas hai
mere jeewan mein fir bhee pyaas hai

hai pyaas badee jeewan thodaa
amaanush banaa ke chhodaa

kahate hain ye duniyaan ke raasate
koee manjil naheen tere waasate

naakamiyon se naataa meraa jodaa
amaanush banaa ke chhodaa

doobaa sooraj fir se nikale
rahataa naheen hain andheraa

meraa sooraj ayesaa ruthhaa
dekhaa n maine sawere

ujaalon ne saath meraa chhodaa
amaanush banaa ke chhodaa

Film/Album: Amanush   Singer: Kishore Kumar  Music: Shyamal Mitra   Lyricist: Kishore Kumar
Download this songs in Mp3 Click here


Saturday, February 11, 2012

Mujhko Yakeen Hai Sach Kehti Thi Jo Bhi Ammi Kehti Thi

Mujhko Yakeen Hai Sach Kehti Thi Jo Bhi Ammi Kehti Thi
Jab Mere Bachpan Ke Dine The, Chaand Mein Pariyaan Rehti Thee
Ek Ye Din Jab Apnon Ne Bhi Humse Jnaata Tod Liya
Ek Wo Din Jab Ped Ki Shaakhen Bojh Hamara Sehti Thee
Ek Ye Din Jab Saari Sadken Ruthi Ruthi Lagti Hain
Ek Wo Din Jab Aao Khele Saari Galiyan Kehti Thee
Ek Ye Din Jab Jaagi Raaten Diwaaron Ko Takti Hain
Ek Wo Din Jab Shaamon Ko Bhi Palken Bojhal Rehti Thee
Ek Ye Din Jab Laakhon Gham Aur Kaal Pada Hai Aansoon Ka
Ek Wo Din Jab Ek Zara Sa Baat Pe Nadiyaan Behti Thee


Album:  Silsilay Singer:  Jagjit Singh & Javed Akhtar  Music: Jagjit Singh & Javed Akhtar   Lyricist: Javed Akhtar
Download this songs in Mp3 Click here

Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hai


kisi nazar ko tera
intezaar aaj bhi hai
kisi nazar ko tera
intezaar aaj bhi hai

kahan ho tum ke ye dil
beqraar aaj bhi hai
O kisi nazar ko tera
intezaar aaj bhi hai

wo waadiyan wo fizaayein
ke hum mile the jahaan
wo waadiyan wo fizaayein
ke hum mile the jahaan
meri wafa ka wahin par
mazaar aaj bhi hai
O kisi nazar ko tera
intezaar aaj bhi hai

na jaane dekh ke kyun
unko ye hua ehsaas
na jaane dekh ke kyun
unko ye hua ehsaas
ke mere dil pe unhe
ikhtiyaar aaj bhi hai
O kisi nazar ko tera
intezaar aaj bhi hai

wo pyaar jis ke liye humne
chhod di duniya
wo pyaar jis ke liye humne
chhod di duniya
wafa ki raah mein ghayal
wo pyaar aaj bhi hai
O wo pyaar jis ke liye humne
chhod di duniya

yakeen nahi hai magar
aaj bhi ye lagta hai
yakeen nahi hai magar
aaj bhi ye lagta hai
meri talash mein shayad
bahaar aaj bhi hain
O kisi nazar ko tera
intezaar aaj bhi hai

na poochh kitne mohabbat ke
zakhm khaaye hain
na poochh kitne mohabbat ke
zakhm khaaye hain
ke jin ko soch ke dil
sogwaar aaj bhi hai

O wo pyaar jis ke liye humne
chhod di duniya
wafa ki raah mein ghaayal
wo pyaar aaj bhi hai
kisi nazar ko tera
intezaar aaj bhi hai
kahan ho tum ke ye dil
beqraar aaj bhi hai
O kisi nazar ko tera


Movie:  Aitbaar Singer:  Bhupender,Asha Bhosle   Music: -  Bappi Lahiri  Lyricist:-  Hasan Kamaal
Download this songs in Mp3 Click here